Monday, November 9, 2009

Main aklea

Main akela duniya mein
awara sa firta hoon,
kabhi idhar..kabhi udhar...
duniya ko dekhta rehta hoon.

Kitne chehre yahaan logon ke,
chehre ke upar chehra hai.
Maut ki vasiyat nikle toh
lagta mauka sunehra hai!!

Dooja jab humse neeche ho..
andar hi andar khushi hoti hai.
Koi humse aage nile toh..
dukh ki seems nahi hoti hai.

Agar doosra imaandaar rahe,
toh wo bevakoof hota hai.
Hum be-imaani bhi karein..
toh kehte hain "Itna chalta hai".

Doosre ki bhool pe hum
usko nahi chhodte hain.
par apni galti ho toh hum
usey sweekar bhi nahi karte hain.

"Paise ka sab khel hai"
Ye keh kar har koi nikal jaata hai.
Par humne agar doosre ka haq maara ho toh..
"Apne baap ka kya jaata hai?"

Jab tak dooje par beete
suni-ansuni ho jaati hai.
Jab aapan par beetan lage
toh naani yaad aa jaati hai!

Madad karne ko kabhi koi
haath na aage badhata hai.
Aur tadap-tadap kar insaan
yuhi andhere mein samaa jaata hai.

Isliye main akela firta hoon
matlab kisi se na rakhta hoon.
Bhaley, koi acchai na ho mujh mein
Bas! Burai main nahi karta hoon!!

Wo ladki

Ek ladki hai anjaani si
sapnon mein mere aati hai...
Kuch kehti nahi wo mujhse
Bas! Haule se muskurati hai!

Jab bhi wo sapnon mein aati hai
uska naam main poochna chahta hoon.
Par, kuch nahi wo batati hai!
Sirf usko nihaarta reh jaata hoon!

Kal fir wo sapnon mein aayi
aur fir pyar se muskurayi.
Aur isse pehle ki wo jaa paye
maine uski pakad li kalai!! :-P

"Aaj toh apna naam bata do,
kab tak mujhe yun tadpaogi?
Meri is harkat ke baad
na jaane tum kab aaogi..?"

"Main kahan tumhe tadpati hoon,
tum hi mere peeche aate ho.
Loafer ki tarah lagte ho tum.
Bas. seeti nahi bajate ho!!"

"Arey! loafer na samjho tum mujhko.
Teri muskurahat pe marta hoon.
Mera dil tere liye tadapta hai,
main pyar tumhi se karta hoon!"

"Mujhe bhi tum acche lagte ho,
Bas, soorat se awara dikhte ho.
Pyar toh main bhi tumse karti hoon
isi liye toh tumhe dekh kar muskurati hoon!"

Ye sun kar... mera dil paagal ho gaya
aur badan mein bijli daud gayi!
Mere dil ko tamanna thi jiski
AAJ WO POORI HO GAYI!!

Ek-dooje ko gale lagane ko
humne apni baahein faila di.
Baahon mein usko bhar kar
dil ki saari baatein batla di!

"Ab toh apna naam bataa do
kaise main tumko pukarunga?"
Peeche se papa ki awaaz ayi
"Beta! Pyar se uth jao warne joote se maarunga!"

Ye Duniya

well..u may not like this as it is senseless and rhymeless.
its more of a prose
READ AT YOUR OWN RISK!

Ek bhola sa khargosh tha
rehta tha ek jungle mein..
Apni dhun mein mat rehta tha wo.
Na thay koi armaan,na koi mazilein!

Wo masti mein ghooma karta tha
sharartein bhi khoob karta tha.
Na duniya ki fikar thi usey
na kisi se bhala-bura kuchh kehta tha.

Ek din wo ani maa ke saath ghoom raha tha
nadi ke kinarey naram-naram ghaas kha raha tha.
Dhalte hue sooraj ko nihaarte hue
kudrat ki khoobsurti ka mazaa le raha tha!

ACHANAK, jhaadiyon se ek sher nikla
aur uske upar jhapat pada.
Par,beech mein uski maa thi
aur khargosh kisi tarah bach gaya.


Jaan bacha kar khargosh wahan se bhaaga.
Bas apni maa ki cheekh sun paya.
Daudte-daudte wo jungle mein kho gaya
aue chhaane laga andhere ka saaya!

Saamne kuch dikhai na padta tha
Koi raasta jaana-pehchana na tha.
Peeche khoon-khaar awazein thi
khargosh ko kuch bhi samajh na aata tha.

Kuch der pehle ka khoobsoorat nazara
ab darawana andhera ban chuka tha.
Peeche se ayi panjon ki awaaz
shayad sher ab kareeb aa chuka tha.

Achanak andhere ko cheerte hue
sher us par jhapat pada,
Apne daanton ko khargosh mein gaad kar..
uske maans ko usne cheer diya!

jungle ka yah kaanoon hai
bada chhote ko maarta hai..
rishtey-naaton ki keemat nahi
bas bhookh ka raag alaapa jaata hai!!

shayad yahi duniya hai
jahan har koi chhota hai
kabhi bhi koi bada aata hai
aur humein maar jaata hai!!!